|
Poetry SMS
| |
Tum se bohat kuch kehna he magar
Kabhi tum nahi milte to kabhi alfaz nahi milte
Ik nayee duniya basana chahta hoo magar
Kabhi neend nahi aati to kabhi khawab nahi milte
Ye dooriyan to mita doo ek pal me magar
kabhi Qadam nahi chalte to kabhi rastey nahi milte,,
Added by azeem on: 23-July-2008 at 17:03
Kash tu chand me sitara hota,
Falak pe ek Ashiyana hamara hota,
Sab tujhe door bohat door se dekha karte,
Or tujhe choone ka haq sirf hamara hota,,,
Added by azeem on: 23-July-2008 at 17:03
Mom ki tarha pighalte hoowe dekha usko,
Waqt jo badla to badalte hoowe dekha usko,
Wo jo kaantoun ko bhi narmi se choowa karte the,
Hum ne phooloun ko masalte hoowe dekha usko,
Jane kis ghum ko chupane ki tamanna he usse,
Aaj har baat pe hanste hoowe dekha usko,
Wo mangne jaate hein dua me kisi ko,
Haath uthake k sisakte hoowe dekha usko,,,,
Added by azeem on: 23-July-2008 at 17:02
Socha k bhool jayon ussy
Bhula na paya to kia qasoor
Kaha pyar ki sunayo dastan mujhy
Suna na paya tokia qasoor
Dosti to nibhany ka nam hai
Nibha na paya to kia qasoor
Dil mein thi uski tasveer
Dikha na paya to kia qasoor
Dil ko jala deny waly wo khat
Jala na paya to kia qasoor....???
Added by Azhar on: 12-June-2008 at 22:46
wakt milay to humay b yaad kar lana
pal pal na sahi dil mai ek bar yadd kar lana,
Dost hon gay ap k hazaroo par
hum aklay han bas itna yaad kar lana..........
Added by Azhar on: 12-June-2008 at 22:44
Kisi ne dil badal liye kisi ne dhadkan badal li aapke paas kuch na tha badalne ko to aapne mandir ke bahar apni chappal badal li Darte hai aag se, kahi jal na jaye, darte hai khawab se, kahi tut na jaye, Lekin sabse jyada darte hai aapse, kahi aap hame kaat na khaye, HUSH HUSH HATO HATO Puch lo khuda se, aapke liye he dua mangi, puch lo hwa se aapke liye he fiza mangi, aapne ki jitni bhi galtiya, hamne dua mai aapke liye sza mangi Dosti ki hai to dsoti nibhayange tum exam dena hum parchi fakne aaeng...
Added by nitika jain on: 18-May-2008 at 16:10
Aaj phir vo guzre saal yaad aaye,Doston ke saath guzare chand lamhe zahan mein muskuraye.zindgi ke samander ne bus kuch boonden thi chalkaayi,phir bhi humne is samander mein kuch kami si thi paayi... aaj phir vo guzre saal yaad aaye,doston ke saath guzare chand lamhe zahan mein muskuraye....vo baat baat pe gila shikwa,us har shikwe mein pyar tha barsa,kabhi to har baat ko dil pe lagana,to kabhi doston ki naadani samajh kar bhool jana,vo har baar roothna, pur phir maan jana,vo ek doosre se khushiyaan baa...
Added by nitika jain on: 18-May-2008 at 16:09
Merey Khoon key her ik qatrey mein Tum Ho,
Merey Dil key her ik Zarrey mein Tum Ho,
Tum Ho Merey Sulagtey Khwaabo mein,
Meri Zindagi key her ik Lamhey mein Tum Ho.
Added by Amjad Ali on: 09-April-2008 at 19:16
Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum,
Sub kuch jante howe bhi anjan ban jate ho tum,
Na koi rishta hay tum se na koi talluk,
phir bhi na jane q mera man ban jate ho tum,
Me jo bhi likhta hon bat zara qarene se,
Mera geet meri shaira mera deewan ban jate ho tum,
Dil se jo nikalti hai, labon pe aa k dum tor deti hay,
Woh tamanna, wo hasrat wo arman ban jate ho tum.
Main lakh karon koshish tum se tark-e-tlluq ki,
Phir bhari mehfil main meri pehchan ban jate ho tum.
Added by Umer on: 14-March-2008 at 17:50
Kahan dil chor aye ho,
bohut chup chap se rehtay ho,
Na bante ho na sanwarte ho
na koi bat karta ho
Bhari mehfil main bhi aksar
hamesha khoay rehtay ho
Udasi aankho main le kay
her ek chehre ko takte ho
Koi jab yaad aata hai to
Thundi aah bharte ho
To khul kar kion nahin kehtay
Kisi se pyar kertay ho
Added by Umer on: 14-March-2008 at 17:50
Un ka kiyaa dil main asay sama gaya..
Sehra main goya jasay hoo selaab aagya..
Ankhoon na meri ansoo say ashna thii..
Askhoo ka aaj tu hoon darya bhaa gaya…
Main us ko bewafa kahoon mumqin nahi dost..
Her jand zakham dil pay wo meray laga gaya..
Jinay ki baat or hay marnay ki baat or..
Duniyaa say jo gaya wo akela gaya…
“saqi” is jahan main rishtay aziz hain…
Acha wohe raha jo in ko nibha gaya…
Added by Umer on: 14-March-2008 at 17:49
Har ek lamha naya ik imtehan hai,
bohut na-meharban yeh aasman hai,
Dilon per barf girti ja rahi hai,
Badan ka tajziya bhi raiga hai,
main us say baat karna chahti hon,
batao to sahi woh ab kahan hai,
Anaa ki rait shamil ho gayai hai,
Hawa say guftugu ab raigan hai,
Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha,
Meri janib say itna badguman hai…
Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin
har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin
wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin
ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake
kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin
hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein
zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin
Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay…..
Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay…
Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko…..
Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay…..
Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou…
Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay……
Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa…
Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi Kartay
Koi titli hamarey paas aati bhi, to kia aati,
Yun ghut-ghut k mar jana, hamain manzoor tha laikin,
Kisi kam-zarf per zahir na ki majbooriyan hum nay,
Hum is mehmil main bus ek baar sach bolay thay,
Zabaan per umer bhar mehsoos ki chingariyon ham nay,
Samajhtay thay magar phir bhi na rakhi dooriyan humne,
Chiraghoon ko jalanay main jala ‘ li ungliyan hum nay…
Kaha tha tum say…mera intezaar na karna
dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna
Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi
ab ki bar tum koi bhi sawal na karna
Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna
Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna
Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota
Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota
Hum bhatakte rahe the raahon mein
koi rasta pata chala hota
Thaam leta humain bhi barh ke koi
Haath hum ko koi mila hota
Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota
Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota
Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho
tum kisi aur ko dekho to bura lagta hai
Mery chahat ka takaza hai mere sath raho
ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai
Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon
tum mere pas sey utho tu bura lagta hai
Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko
tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai
Ye mery rooh tarasti hai tumhari khushbo ko
tum kahin aur ja k mehko to bura lagta hai
Tere qareb aa kay bari uljhano main hon,
Main dushmanon main hon k tere doston main hon,
Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago,
Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon,
Mujh se bichar k tu bhi to roeyga umer bhar,
Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon,
Tu hans raha hai mujh pey mera haal daikh ker,
Or phir bhi main shareek tere qehqahon main hoon.
Added by admin on: 14-March-2008 at 17:49
Merey sabar ka na ley Imtehaan
Meri khaamoshi ko sada na dey
Jo terey baghair na jee sakey
Usey jeeney ki to duaa na dey
Tu azeez Dil-o-nazar sey hai
Tu qareeb Rag-o-jaan sey hai
Merey Jissm-o-jaan ka yeh faisla
Kaheen waqat aur barha na dey
Tujhe bool ke bhi na bulaa sakoon
Tujhe chah ke bhi na pa sakoon
Meri hasraton ko shumaar kar
Meri chahaton ka silaa na dey
Wo tarap jo shula-e-jaan mein thi
Merey tan badan sey lypat gaye
Jo bujha sakey to buja isey
Na bujha sakey to hawa na dey
Tujhe agar milein kabhi fursatein
Meri shaam phir sey sanwaar dey
Agar qatal karna hai to qatal kar
Yoon judayioon ki saza na dey
Khuwaab Min Aa ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bahut,
Her Ghari Wo Dekh kar Muskurati Thi Bahut,
Chor Hi Dena Pada Ghabra kar Us k Shaher Ko,
Yaad Uski Raat Din Mujh ko Rulati Thi Bahut,
Apni Baahon Me Jab Jakar Leti The Ranjo Alam,
Aa k Ek Andaaz Me Mujh ko Hansaati Thi Bahut,
Apne Dil Ki Baat Wo Mujhse Kabhi Kehti Na Thi,
Dusron K Pyaar Ke Qissey Sunati Thi Bahut,
Chahti Thi Sirf Meri Hi Nazar Us per Parey,
Ghair Ki Nazron Se Wo Khud Ko Bachati Thi Bahut,
Din To Kat Jata Tha Mera Doston Ke Saath Mein,
Raat Me Lekin Wo Mujh ko Yaad Aati Thi Bahut.
Ye aarazu hai k jab bhi gale lagaauun use
hisaar-e-zaat se baahar nikaal laauun use
vo jal raha thaa kari dhuup ki tamaazat mein
milaa jo ab to ohrhaa duungaa apani chaa’onn usey
ye ishq bhi hai ajab imtihaan-e-ahad- e-wafaa
wo aazamaaye mujhe aur main aazamaauun use
wo shahar shahar chiraagaan sahi magar ek din
hawaayein yaad dilaayeingi apnaa gaana usey
wo apne khuwaab mein shaayad mujhii ko dekhta ho
main tashnaa lab sahi sote mein kyaa jagaauun use
Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k
Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k
Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay
Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k
Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin
Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k
Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin
Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron
Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin
Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab
Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin
Woh tou mit ker mujhey mil hi gayai rahat werna
Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin
Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey
Aansuon sey dil k koney nam naheen hote
Thee bahut umeed to apnon sey is dil ko kabhee
Par hameshaa saath ye hamdam naheen hote
Bebasee hansne lagee khaamoshi ab hai goonjtee
Band kamron men koyee mausam naheen hote
Jab khushee hai naachtee gaatee hai man kee har kalee
Un gharon men kyaa kabhee maatam naheen hote
Pyaar sab miltaa jinhen ranjish naheen koyee kabhee
Kyaa kabhee aise dilon men gham naheen hote
Yaad to karte hain unko ham sadaa hee raat din
Khwaab men unke kabhee kyaa ham naheen hote
Bandh lain hathoon pay seenay pay saja lain tum ko,
Sochtay hain k aik taveez bana lain tum ko,
Phir tumhain roz sanwarain tumhain barhta daikhain,
Kion na aangun main chunbaili sa laga lain tum ko,
Kis qadar toot ker tum per hamain pyaar aata hay,
Bhur lain banhoon main aur maar hi dalain tum ko..!
To jhuka jhuka k nazar kion milayee jati hay,
Banaa banaa k tamanna mitayee jaati hay,
Tarah tarah say wafa aazmayee jaati hay,
Hijaab un ko meri mohabbat ka aitbar nahin,
To jhuka jhuka k nazar kion milayee jaati hay,
Hamaray dil ka pata wo hamain nahin daitay
Hamari chiz hum hi say chupai jaati hay,
Saqi, Doori-e-manzil say naa-umid na hoo
Manzil ab bus aa hi jaati hay
Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai,
Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai !
WO chehra gam se kumhlane na paye,
Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai !
Tabassum hai labon pe dil me nafarat,
Yahi iss daur ka nakse wafa hai !
Judaa hokar bhi sabke sath Hun mai,
Nahin maloom he kaisi saza hai !
Zamana chup hai aur bole hai “Zakhmi”,
Yah uski bezubaani ka sila hai !!
Added by admin on: 14-March-2008 at 17:47
Uss k honton ka tabassum rahay qayaim “YA RUB”
Uss k jeevan main khushiyon ka basaira ker day…
Tu meri “KARB” ki raaton ko bhalay khatam na ker,
Uss ke her shaam k aakhir mai “SAWAIRA” ker day.
Uss k “DIL” k kisi konay main jaga day mujh ko…
Uss ki “AANKHON” ko meray sapnon say khaira ker day
Yeh meray dil ki dua hay “MERA MOLA SUN LAY”…
Saaaari duniya say chupa ker “USSAY MERA KER DAY”
Zindagi qad e musalsal ka siwa kuch bhi nahi
Kiya tha jurm- e -wafa is k siwa kuch bhi nahi
Jeenay ki arzo ma roz mar rahey han
Dawa teri muhabbat ka siwa kuch bhi nahi
Khnchti ha appni taraf gulshan ki rang- o- bu
Kashish phoolon ma khushboo ka siwa kuch bhi nahi
Bhool jana aik naymat ha kuda ki islia
Bhoolna tera haqeeqat ka siwa kuch bhi nahi
Thora ha farq baqi insan aur hewan ma
Saqi tujh ma muhabbat ka siwa kuch bhi nahi
Jab seena gham se bojhl ho aur yaad kisi ki aati ho,
Tab kamre mein band ho jana aur chupke chupke ro lena,
Jab aankhein bhaari ho jaayen aur yaad mein meri bhar aayen,
Phir khud ko dhoka mat dena,aur chupke chupke ro lena,
Jab palken qarb se mondi ho aur sab samjhe tum sote ho,
Tab chehre par takiya rakh lena aur chupke chupke ro lena,
Yeh duniya zalim duniya hai…yeh baat bahut phelayegi,
Tum sabke saamne chup rehna aur chupke chupke ro lena,
Jab baarish chehra dho daale aur ashq bhi bonden lagte ho,
Woh lamha hargiz mat khona aur chupke chupke ro lena.
Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin
Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin
Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin
Un ka Wada to hai magar Dil ko
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin
Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin
Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin
Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin
Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin
Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin
Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin
Us nay kaha kon ho Tum?
Main nay kaha Hasrat Tumari
Us nay kaha Taktey ho kya?
Main nay kaha Surat Tumhari
Us ne kaha kartey ho kya?
Main nay kaha Pooja Tumhari
Us nay kaha Kaafir ho kya?
Main nay kaha aisa hi sahi
Us nay kaha chatey ho kya?
Main nay kaha Mohabbat Tumhari
Us nay kaha Pachtaoge,
Main nay kaha KismatHamari
Us nay Kaha Married hoon mai.
Main nay kaha Sorry BAJI
Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge
Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain “Ashk” mager
Har baat poorani kehdein ge
Aankhain khuab dekhti hain
Kisi say mil janey ka
Ya khud ko kho denay ka
Tanha reh janay ka
Khud ko aar denay ka,
Chahat haar denay ka
Aankhain khuab dekhti hain
Bichray huye lamhon ka
Kisi raastay per mil janay ka
Zakhmon kay sil janey ka
Zamanay kay guzer janay ka
Khuab kay hasil ki haqeeqat ka
Haqeeqat ka khuwab main tehleel honay ka
Bikhray khuabon ki takmeel ka
Tum to khud ik khuwab ho
Husn ka, jawani ka
Ik dard bhari kahani ka!!
baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk
kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tuk
ishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain
kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tuk
ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho
yun hi bahanay qayam rakhna, tum meray mer jaanay tuk
itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana,
aa hi gayai tou rukna ho ga, aankhon k pathranay tuk
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho,
Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.!
Tera wada bhi na siyasi ho,
Ab fazaon mein na udasi ho!
Chuu k qadmon ko her khushi guzray,
Kash ab yun hi zindagi guzray!
Tum meray sath meray din meri raaton main raho,
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho!
Pyaar mera tujh say kahta hay,
Dil ki dharkan mein tu hi rehta hay!
Preet main teri ban k kho jaon,
Meera k jaisi tu bhi hoo jayai!
Ban k radha tum meri murli ki tano main raho,
Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho.!!
Tujhey chaha hay tujhay chahonga,
Mai na chahat say ba’az aaonga,
Teri ulfat k jhulay ain jhulun,
Saath tu day tou aasman chu lun,
Gungunaon main tujhay, dil k taron main raho,
Meri aankhon mein raho, Meri aankhon mein raho
Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain
Aa apni kashtiyon ko supurd-e-khuda karain !
apni tabahiyon main hi jub apna haath ho
phir dhushmano k waastay kiya bad-dua karain
Shaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar
Ham say chahta tha k hum iltija karain
Hamnay yun ghurbaton main raat bitayee hay sanam,
Bhookay faqeer ko ab rukhsatzada karain
Duniya teray faraib say jobach k nikle
To sahiloon pay hum bhi namazain ada karain
Guzar gaee raat aankhon aankhon main
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main
Sadiyoun say piyaasi thee mohabbat
Ho gaee bersaat aankhon aankhon main
Mil na saka tha dil kabhi dil say
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main
Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi
Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main
Day diya dil aik doojay ko
Ho gaee soghaat aankhon aankhon main
Sab rasmoon riwajoon ko Saqi
Ho gaee maut aankhon aankhon main
Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai
Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai
Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai
Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar mila hai
Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay…!
Bun jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga
Her pal rahon mein yadoon mein kaisa lagay ga?
Dartey ho jo tum narazgi say meri
ho jaon agar tum say khafa kaisa lagay ga?
Tum pyar mein khud ko ho mitanay pay raazi
Ban jayai agar pyar saza kaisa lagay ga ?
Khud se bhi ziyadah ho yaqeen tum ko agar kisi per
Woh shakhs hi dey jayai dagha kaisa lagay ga?
Tum aur hi mehfil ka dia ban ker chalo phir
Tanhai milay tum ko sila kaisa lagay ga ?
behar-e-ishq main doob k daikh kabhi
jaam-e-mohabbat pee k daikh kabhi
her taraf tera hi aks nazar ayai ga
meri aankhon mein pyar say daikh kabhi
ghuror hay tujhey apni zulfon ki cha’aon ka
meri palkon ki chaon mein baith k daikh kabhi
kaisi hoti hay tapish zamanay ki nigahon mein
meray dil k aangun say bahar aa k daikh kabhi
kitni hoti hay mithas jazba-e-dar guzar main,
kisi rothay howay ko mana k tu daikh kabhi
kerti hay kaisay khushu gul say parwaz
ik bar mujh say door ja k daikh kabhi
Tumhain ab bhool hi jayain tou acha hai,
Yeh faslay aur bhi barh jayain tou acha hai,
Tumhari chahatain hum ko nahin hasil,
To ab ghair hi bun jayain tou acha hai,
Hamari to umer guzri hai teri chahat main,
Tu is aag main na jalay to acha hai,
Barsoon se thi Dua k tu meray sath ho,
Kehta hon k ab saamnay na ayai tou acha hai,
Rehta tha teri mohabbat ka saya hamaray sath,
Ab to apni parchi bhi sath na ayai tou acha hai,
Raiza Raiza ho chuki hai roooh meri,
Ke badan say ab nikal hi jayaito acha hai….!
Added by admin on: 14-March-2008 at 17:45
|
|